Teen Kavitayein( Original Post By Me in August 2015)

Teen Kavitayein( Original Post By Me in August 2015)
December 30, 2020 Comments Off on Teen Kavitayein( Original Post By Me in August 2015) India, Information Technology, Literature, Poetry Sunil

By Sunil Kumar

Need to key this in Latin/English script;

Jeevan Ki Madhushala

By Sunil Kumar

Duniya ke daldal mein panv rakha mainein!

Majhi mil gaya; karvan banta gaya!

Sarsarati garmi; thand ka aseem kahar, aur jvalamukhi jaisi tapti hui aag!

Gubbare jaise phulta aur pichakta hua aham

ghatnakram sitaron ki akaash ganga jaisa vishal aur aseem

jeevan ek aandhi hai; ek ocha vastra hai jiska chir haran karna mere dharmik kartavya hai

yahan har roz ek naye vichar ka kriyakarm hota hai

matam ke liye keval tanhai aur chupi ka saath

mod pe domraja mil gaya; lekin rah badal gayi; rahgir badal gaye!

Hansne ka karz

By Sunil Kumar

ek sundar sa chehra

uspe mahakti hui chamchamati si hansi

jo milna tha uski aas na thi; jo mil gaya uska aphsos na tha

hansi ka karz rah gaya; par uski kisht na mili!

sochta tha mein chaudhvi ka chand ho; aaftab ho,

pata chala ki subah uthne ke bad ek gumshuda khvab ho!

Sadabahar Bharat!

By Sunil Kumar

grihasthashram se sanyas mein jaane ka jab vakt aaya

to desh ki antaratma ne use jhanjhoda!

kya paya tha; jo kho diya!

kya mila tha; jo lut gaya!

javani mein angrez ne apni bhasha di

jo budhape main amriki nainsaphi ho gayi!

deshbhakton ke ruhani alfaaz ab keval election jeetne ke sadhan ho gaye

aur gali ke chor lucchake mukadam ban gaye!

Tags
About The Author